New Urdu poem 'Maa"

Put your inspiration poems or quotes here...
Post Reply
alisa
Posts: 666
Joined: Mon May 23, 2005 12:02 pm
Location: Glendale, California - USA
Contact:

New Urdu poem 'Maa"

Post by alisa »

Ya Ali Madad

Nobody can deny greatness of mother. Whatever you may do in life for her; you can not compensate what she had done for you. This is the reason Prophet Mohammad S.A.S. says mothers status is 3 time higher than father. Just imagine what she is?

Always respect her; and do whatever you can do for her. Remember by doing anything for her; you are not doing any favor to her.

Amir


Maa

Maa dekhi main nay mumta teri
Maa yeh azmat; Jannat hay teri

Maa mein Jannat sari ghoom aaya
Wahan bhee mein nay kami mehsus key teri

Woh baat na-thee wahan Jannat mein
Maa dekh; qaa-em rahi azmat teri

Teri azmato(n) ko koi choo sakta nahin
Tu azim hay aur kiya taarif karoon mein teri

Terey paa-o(n) kay nichey Jannat rakhi Allah nay
Muhammad nay ba(d)rha-dey aur azmat teri

Tarif ker ker kay thuk jaa-o(n); baat na ho puri
Aur tujey kiya chahi-ye; Ay Maa Meri

Tu kiya hay; yeh wahi janta hay; Jo pehchanta hay
Jo nahin pehchanta; woh kahan hay aulad teri

Teri azmato(n) ko Maa Lakho(n) Salam
Yeh hadiy-e-tahniyat hay Maa shaan mein teri

Samjo Maa kay wajood say dunya ka wajood hay
Bitha yeh baat tu Aqal mein teri

Amir
Post Reply